1. kaha yeh shimr kayi ne rulaao zainab ko
dikhao laashe baradar rulao zainab ko
2. hussain imaam ko jisse kiya tha ran me shaheed
woh khoon bhara huwa khanjar dikhao zainab ko
3. na ab hussain na abbas na ali akbar
nahi hai khauf kisi ka rulao zainab ko
4. bandhi rasan jo kalaayi toh behaya bole
aseer hogayi dar dar phirao zainab ko
5. reeda chini toh pukaari ke aye mere abbas
khuda ke waaste aakar bachao zainab ko
6. yeh khaof khaa nahi sakti ali ki beti hai
har ek gaam par durra lagao zainab ko
7. daro na cheenlo saidaniyo se sar se rida
seena woh teg dikhakar darao zainab ko