Kanz e Aza

Kaisi Ye Shaam Aayi

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Yawar Yusufi. Lyrics in Roman Urdu.

kaisi ye shaam aayi aulaad e sayyeda par

sajjad ro rahe hai zainab se moo chupa kar


ek samt be kafan hai bhai ka uske laasha

abbas ki behan ka baaqi raha na parda

ab sochti hai zainab maange kafan ya chadar

kaisi ye shaam aayi...


baazu kahin pade hai laasha kahin pada hai

zainab ki bebasi pe par ghazi tadap raha hai

roti hai bekasi bhi farsh e aza bicha kar

kaisi ye shaam aayi...


jo ghar may do qadam bhi paidal nahi chali hai

ek din may wo hi zainab abbas ban gayi hai

pehre pe aa gayi hai tanha alam utha kar

kaisi ye shaam aayi...


sajjad se lipat kar kehti rahi sakina

ehsaas ho raha hai mai hogayi yateema

zaalim dara raha hai naiza dikha dikha kar

kaisi ye shaam aayi...


laashon ke darmiyan wo baba ko dhoondhti hai

moo apna peet kar ye faryad kar rahi hai

qadmon may hi sula do baba mujhe bula kar

kaisi ye shaam aayi...


jab aa gaye najaf se beti ko milne baba

zaano pe rakh ke sar ye kehne lagi wo dukhiya

zainab ujad gayi hai karbobala basa kar

kaisi ye shaam aayi...


qaimon ke saath jhoola bistar bhi jal gaya hai

namoos e mustafa ko baaghi kaha gaya hai

le jayenge subha ko qaidi hamay bana kar

kaisi ye shaam aayi...


guzregi kaise yawar maqtal se shaahzadi

abid ne raat momin ye soch kar guzaari

zainab ka naam lega zaalim jo muskurakar

kaisi ye shaam aayi...