Kanz e Aza

Karbala Khamosh Hai

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Mir Tusi. Lyrics in Roman Urdu.

aagayi shaam e ghariban karbala khamosh hai

hogaya maqtool quran karbala khamosh hai


fatema ke laadle sab zulm se maare gaye

murtaza ki aankh ke roshan sabhi taare gaye

mushaf e ismat ke jitne thay sabhi paare gaye

hal ata par gham hai taari innama khamosh hai

aagayi shaame ghariban...


jal gaye hai saare qaime kya kare saydaniyan

chadarein bhi chin gayi hai kya kare saydaniyan

zulmaton ke bheed mein hai mustafa ki betiyan

chup hai abbas e jari aur alqama khamosh hai

aagayi shaame ghariban...


maadar e baysheer ko zainab sambhale kya kare

godh mein saare yateemon ko uthaale kya kare

abid e muztar ko sholon se nikaale kya kare

ek zainab hai akeli khaafila khamosh hai

aagayi shaame ghariban...


ek taraf qaime jale aur ek taraf masnad jali

har taraf dil ki sada hai ya mohamed ya ali

aise mein zainab bani hai khud hussain ibne ali

azme zainab dekh ke har maujiza khamosh hai

aagayi shaame ghariban...


mushkilein is raat mein jab mehwe ghairat hogayi

ek phupi aur ek bhatiji kohe ghairat hogayi

har musibat jhel kar faqre mashiyat hogayi

sabr o gham ka is jagah har falsafa khamosh hai

aagayi shaame ghariban...


aakhirash mir e najaf khud bhi ye manzar dekh kar

aagaye karbobala beti ko muztar dekh kar

keh uthi hyder se ye hyder ki dilbar dekh kar

mere baba aap ka har dilruba khamosh hai

aagayi shaame ghariban...


shadman o mir tusi gham ke in halaat mein

aansuon ki dard ki ehsaas ki barsaat mein

tum ko padhna mujhko likha mil gaya khairaat mein

tum ko sun kar dehr ka har khushnawa khamosh hai

aagayi shaame ghariban...