karbala ki rayt pe pyason ki hai ye daastan
hai sakina ki sada pe tham gayi nehr e rawan
na rahe abbas ghazi na raha akbar jawan
ho gaye qasim ke tukde ashkhiyon ke darmiyan
karbala ki rayt pe...
asghar e baysheer ne kaisa diya hai imtehan
muskurana dekh kar hai ro pade arz o samaa
karbala ki rayt pe...
tay kiya kaise safar jakde huwe zanjeer mein
sayyede sajjad par hai ro rahi thi bediyan
karbala ki rayt pe...
ab musibat ko teri hashim kare kaise bayan
be rida kulsoom o zainab hai shaki ke darmiyan
karbala ki rayt pe...