tareekh e karbala hai ye tareekh e karbala
haye ghareeb hussain haye ghareeb hussain
aao sunaun tum ko mai tareekh e karbala
yani ghareeb e fatema zehra ka marsiya
zehra ka laal shaam ki faujon mein tha ghira
qurban ho chuke thay sab ansar o aqraba
ghurbat ki bekasi thi shah e mashreqain thay
nau laakh fauj e shaam mein tanha hussain thay
haye ghareeb hussain...
tanhaai dhoondti hai wo lashkar kidhar gaya
tooti hui kamar hai jawan bhai mar gaya
noor e nazar ke saath hi noor e nazar gaya
armaan tha jiski shadi ka wo bhi guzar gaya
rota hai dil shabih e payambar nahi raha
sughra ki yaad aati hai akbar nahi raha
haye ghareeb hussain...
mai kis tarha bayan karun us waqt kya tha haal
kha kar sitam ka teer jo asghar hua nidhaal
jab hichkiyan wo leta tha masoom naunehaal
bano na dekh le kahin sheh ko tha ye khayal
jitna lahoo ugal diya maah e muneer ne
utna to doodh bhi na piya tha sagheer ne
haye ghareeb hussain...
bache ki apne qabr banane lage hussain
khud bebasi ki laash uthaane lage hussain
pyase labon pe ashk girane lage hussain
matti mein apna chand chupane lage hussain
thi itni garm rayt ke ghabra gaye hussain
chehre pe khaak daal ke tharra gaye hussain
haye ghareeb hussain...
rote huwe imam jo qaime ke dar pe aaye
thay hamsafar hussain ke tanhaiyo ke saaye
awaaz kis ko de kisay mazloom ab bulaye
koi nahi bacha mere maula ka haye haye
aayi sada ye fikr ke shaah e umam na kar
zainab tujhe sawaar karayegi gham na kar
haye ghareeb hussain...
aaye hussain ran mein safon ki safayi ki
aada se bhook pyaas mein aisi ladayi ki
faujon se aa rahi thi sadayein duhayi ki
aise mein sheh ko laash nazar aayi bhai ki
goonji sada ye fatema zehra ke chain ki
abbas uth ke dekho ladayi hussain ki
haye ghareeb hussain...
baatein tasavuraat mein karte thay shaah e deen
itne mein gherne lagay maula ko sab layeen
ghode pe dagmaga gaya zehra ka mehjabeen
bibi pukaarti thi batao to ahle keen
pyase ko kyun lahoo ke ghareeb-ud-dayaar ke
tum ko milega kya mere bacha ko maar ke
haye ghareeb hussain...
sajjad kya bayan ho wo karb ki ghadi
chalne lagi jo halq pe mazloom ke churi
sattar qadam se ek behan dekhti rahi
tauheen shimr karta tha zainab ke bhai ki
kehti thi ghazi aa ke bachana hussain ko
jab shimr maarta tha tamacha hussain ko
haye ghareeb hussain...