fatema zehra ke dilbar karbala waale hussain
kushtaye tayghe sitamgar karbala waale hussain
haye kya aalam hua hoga dile sad paash ka
jab uthaai laashe akbar karbala waale hussain
fatema zehra ke dilbar...
zindagi bhar saani e zehra ka nauha tha yehi
tashnalab mere biradar karbala waale hussain
fatema zehra ke dilbar...
mujhse badkar kaun hoga is zamane mein ghareeb
be kafan tum mai khule sar karbala waale hussain
fatema zehra ke dilbar...
ghar se beghar hogaye nana ka rauza chut gaya
kaisa bigda hai muqaddar karbala waale hussain
fatema zehra ke dilbar...
qasim o aun o mohamed bhi gaye abbas bhi
ab na asghar hai na akbar karbala waale hussain
fatema zehra ke dilbar...