ye hamare dil mein jo emaan hai
karbala wale tera ehsaan hai
rehti duniya tak hai tera gham hussain
ruk nahi sakta tera matam hussain
hum uthayenge tera parcham hussain
tere parcham ki anokhi shaan hai
karbala wale tera…
aandhiyan uthengi toofan aayenge
tere matam se na hum ghabrayenge
har fiza-e-zulm par cha jayenge
yeh hamara ahd hai payman hai
karbala wale tera…
hashr tak lehraega parcham tera
kam nahi hogi kabhi iski ziya
de raha hai aaj bhi darse wafa
haye kya tere alam ki shaan hai
karbala wale tera…
laakhon ab toofan uthe aandhi chale
laakh ho daaro rasan ke marhale
sabr ke khaleq tere parcham talay
ab hamein har marhala aasan hai
karbala wale tera…
khud musalmano ne loota ghar tera
sach to ye hai ay shaheede karbala
hogayi tujhpe sitam ki inteha
kya imame waqt ki pehchan hai
karbala wale tera…
sarware deen kaam jo tune kiya
hazrate ayub se kab ho saka
tune akbar sa pisar bhi de diya
sabr tere sabr par hairaan hai
karbala wale tera…
rayg zaare garm par kaata gaya
zulm ke khanjar se jab tera gala
haq pukar utha shaheede karbala
rehti duniya tak tera farman hai
karbala wale tera…
tere haaton par jo ek masoom tha
pyas ki shiddath se jo maqmoom tha
kya laeeno ko nahi maloom tha
tere haaton par bhi ek quran hai
karbala wale tera…
bezaban ke ran mein aane ki ada
dushmano ke dil hilaane ki ada
muskurakar teer khaane ki ada
har ada mein haq ke ek elaan hai
karbala wale tera…
ay zaheer ek ye bhi kaare sawaab
kehke maine ya ali ya bu turaab
kitne chehron se ulat di hai niqaab
naame hyder qalb ki mezaan hai
karbala wale tera…