karbala basa kar apna ghar luta kar
godh ke sabhi pale rayt mein chupa kar
karbala se shaam ja rahe hai hussain
naize pe quran suna rahe hai hussain
karbala se shaam ja rahe hai hussain
jang e karbala ko maine fatha kar liya
faatahe damishq hogi binte sayyeda
ye qadam qadam bata rahe hai hussain
naize pe quran suna...
karbala se shaam...
bibyon ke sar khule koi na dekh le
har nigaah meri samt hi jami rahe
sab ko maujiza dikha rahe hai hussain
naize pe quran suna...
karbala se shaam...
bain thay sakina ke mai ro nahi saki
baba kitne din huwe mai so nahi saki
lori beti ko suna rahe hai hussain
naize pe quran suna...
karbala se shaam...
be-rida haram hai chaar samt ahle shar
khoon ro raha hai saarban jhukaye sar
us ka hausla bada rahe hai hussain
naize pe quran suna...
karbala se shaam...
aag aur patharon ki barishein hui
zakhmi sar behan ka hai lahoo lahoo jabeen
zakhm patharon se khaa rahe hai hussain
naize pe quran suna...
karbala se shaam...
jab suna ye shireen ne to ro ke di sada
jaag utha naseeb mera ay mere khuda
aaj mere ghar pe aa rahe hai hussain
naize pe quran suna...
karbala se shaam...
bete bhanje bhatije ban mein so chuke
alqama pe sher jaisa bhai kho chuke
waada aakhri nibha rahe hai hussain
naize pe quran suna...
karbala se shaam...
khaafile se mutmain imam ho gaye
shaam pahunche khatm saare kaam ho gaye
nana se duayein paa rahe hai hussain
naize pe quran suna...
karbala se shaam...
maante hai matami bhi aur farhan bhi
daastan e gham safar ki mazhar abidi
likh raha hoo mai likha rahe hai hussain
naize pe quran suna...
karbala se shaam...