khaak par neendh nahi aati baba
mai zameen par hoo bahot garm hawa hai
aap ka seena to teero se bhara hai baba
aapke seene pe teero ki rida hai baba
chain ek pal bhi nahi paati baba
mai zameen par hoo bahot garm hawa hai
khaak par neendh nahi...
kya kahoo pyaas se hai kitni nakahat baba
meri taqdeer bani haye musibat baba
kis tarha qalb ko behlaati baba
mai zameen par hoo bahot garm hawa hai
khaak par neendh nahi...
dekhun maidan may bikhre hue be-sar laashe
aur us par ye andhera ye sitam ke narghe
warna hargiz na mai ghabrati baba
mai zameen par hoo bahot garm hawa hai
khaak par neendh nahi...
ye to acha hi hua saath nahi thi sughra
jo sitam maine sahey seh nahi paati dukhiya
wo to is dard se mar jaati baba
mai zameen par hoo bahot garm hawa hai
khaak par neendh nahi...
aap ke seene pe aaram se sojaati thi
aap ki baahon may hi neend mujhe aati thi
ab to har saans hai tadpaati baba
mai zameen par hoo bahot garm hawa hai
khaak par neendh nahi...
zindagi meri to ashkon se ibarat tehri
garm reti pe kahan soye dukhon ki maari
neend aise may kahan aati baba
mai zameen par hoo bahot garm hawa hai
khaak par neendh nahi...
baba ye garm hawaein hai sitam ka sehra
maut ka charon taraf sakht laga hai pehra
kaash ye maut hi aajati baba
mai zameen par hoo bahot garm hawa hai
khaak par neendh nahi...
ye sada safdar o mazhar jo sakina ki suni
laasha e shaah se awaaz ye aayi beti
ye na kar bain ke mar jaati baba
mai zameen par hoo bahot garm hawa hai
khaak par neendh nahi...