Kanz e Aza

Labbaik ya Hussain

A noha written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

labbaika ya hussain labbaika ya hussain


ashoor o arbaeen pe hum ko bula hussain

labbaika ya hussain labbaika ya hussain


sajde ne tere deen ki izzat badhayi hai

teri nazam kaabe ke bhi kaam aayi hai

zinda hai tere naam se naame khuda hussain

labbaika ya hussain...


hai kitne momineen jo haj par na jaa sake

baithe hai apne dil mein ye armaan liye huwe

is saal tere rauze pe haj ho ada hussain

labbaika ya hussain...


kya karbala hai sirf ameeron ke waaste

kya door se hi dekh ke mazdoor khush rahe

koi sabeel koi to rasta bana hussain

labbaika ya hussain...


awaaz de qadam nahi peeche hataunga

koi kahega haath to gardan kataunga

is khaadim e habeeb ka waada raha hussain

labbaika ya hussain...


ay karbala ke sayyed o sardar as salaam

suraj tawaf karke ye kehta hai subho shaam

tere diye se jalta hai mera diya hussain

labbaika ya hussain...


kis ko dikhaye zakhm maseeha koi nahi

maula hamara poochne waala koi nahi

hai kaun hum ghareebon ka tere siwa hussain

labbaika ya hussain...


qasim ka laasha dasht mein pamaal kar diya

quran hassan ka dasht mein saara bikhar gaya

tukdon se uske aati thi phir bhi sada hussain

labbaika ya hussain...


teri yateem bachi bhi peeche nahi hati

panjo ke bal chali hai wo lekin nahi ruki

ye kehte kehte aagayi usko qaza hussain

labbaika ya hussain...


sar tha tere ghareeeb ka pathar ke waar pe

tere pisar ke pairon ke chaalon mein khaar thay

phir bhi zuban se kehte tha beta tera hussain

labbaika ya hussain...


sajjad wohi bante hai bas zaair e imam

apne qalam se likhte hai abbas unke naam

ghazi se kehke karbala humko bula hussain

labbaika ya hussain...