haye shaam e ghariban
kar rahi hai daastane gham bayan qaimon ki raakh
haye ye kismat kahan zainab kahan qaimon ki raakh
sar chupane ke liye jaaye bhi to jaaye kidhar
khoon ke pyase nazar aate hai ta-hadhe nazar
door tak phaili hai zer aasman qaimon ki raakh
kar rahi hai daastane...
aalam e islam ko ghairat dilaane ke liye
zulm kis hadh tak huwe hai ye bataane ke liye
le gayi hai shaam tak saydaniya qaimon ki raakh
kar rahi hai daastane...
karbala ki khaak par khoon mein naha kar so gaye
naaz zainab ko tha jin par qatl wo sab ho gaye
kaash udte dekhte peer o jawan qaimon ki raakh
kar rahi hai daastane...
bediyan naize rasan pathar atash aur ghurkiyan
kya yehi kismat mein likha tha ke dekhe hum yahan
naiza o shamsheer o khanjar barchiyan qaimon ki raakh
kar rahi hai daastane...
hum isay ghurbat sakina ki kahein ya bebesai
sar chupane ke liye jaane hussain ibne ali
daalti hai sar mein bhar ke mutthiyan qaimon ki raakh
kar rahi hai daastane...
raakh ne behte lahoo ko jazb jis dam kar liya
chand lamhe hi sahi par dekhne mein yun laga
ban gayi kaano ki jaise baliyan qaimon ki raakh
kar rahi hai daastane...
rehmaton ka raat din wallah hota hai nuzool
khil rahe hai aaj is jaa sabr e shabbiri ke phool
chaar soo phaili hui thi kal jahan qaimon ki raakh
kar rahi hai daastane...
allah allah karbala se shaam tak ka imtehan
kar nahi sakta koi asif kisi surat bayan
shadman is gham mein khud hai nauhakhwan qaimon ki raakh
kar rahi hai daastane...