Kanz e Aza

Jab Mai Bhi Karbala

A noha for Arbayeen, written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

jab mai bhi karbala ki ziarat ko jaunga

pyason ke zayareen ko pani pilaunga


poochunga dard kaisa hai pehlu ka shaah se

hargiz na apna haal mai unko sunaunga

jab mai bhi karbala ki...


qabr e ghareeb e zehra pe ashoor waale din

sajjad ki taraf se kafan le ke jaunga

jab mai bhi karbala ki...


bandhwa ke apne haathon ko hurr ki tarha se mai

sultan e karbala tere rauze pe aaunga

jab mai bhi karbala ki...


mujhko yaqeen hai maa wahan hogi hussain ki

nazrein na qatl gaah ki jaanib uthaunga


shabbir ko sunaunga akbar ka marsiya

abbas ko sakina ki sunaunga

jab mai bhi karbala ki...


jis jaah giri thi naaqe se beti batool ki

wajib samajh ke khud wahan par giraunga

jab mai bhi karbala ki...


ragdi thi jis jagah ali akbar ne aediyan

dil keh raha hai mai to wahan mar hi jaunga

jab mai bhi karbala ki...


sajjad zayareen ki khidmat karunga mai

is kaam bhi na aaya to kis kaam aaunga

jab mai bhi karbala ki...