HOTA RAHEGA HASHR TALAK MATAM-E-HUSSAIN
Aaye hai karbala ki fazaon se ye sada
Qurbaan tere sabr ke aye Shahe Karbala
Ummat ke bakshwane ko sar tune dediya
Hota rahega hashr talak Matam-e-Hussain
Bardta rahega Ahle Aza ka ye qafela
Dunya ke rokne se ye ab tak nahi ruka
Saaye ki tarha sath jo Zainab ki dua hai
Hota rahega hashr talak Matam-e-Hussain
Pyasa huwa shaheed dil-o-jaan-e-Fatima
Kaise bhulayega koi ahsaan-e-Fatima
Pesh-e-nazar hamhare hai armaan-e-Fatima
Hota rahega hashr talak Matam-e-Hussain
Khakar sina kaleje pe Akber huwe shaheed
Aur teer-e-zulm se Ali Asghar huwe shaheed
Yuin karbala mein Shah ke dilbar huwe shaheed
Hota rahega hashr talak Matam-e-Hussain
Lasha Hasan ke laal ka pamaal hogaya
Bazu kata ke sogae Abbas-e-bawa
Khanjar se shumr ke kata Shabbir ka gala
Hota rahega hashr talak Matam-e-Hussain
Hoti jo mere sar pe rida aye Shahe Zaman
Rehti ne jalti reit pe yuin lash bekafan
Bhaye ke lash par yunhi kehti rahi bahen
Hota rahega hashr talak Matam-e-Hussain
Dil se gham-e-Hussain manate raho Nazar
Palkon pe apne ashk-e-sajate raho Nazar
Har pal duae Fatima pate raho Nazar
Hota rahega hashr talak Matam-e-Hussain