ye faqre panjetan hai ye aks e murtaza hai
qaayam inhi ke dam se is dehr mein wafa hai
abbas ki wafa ka sheh ne sila diya hai
hukme hussain ye hai ghazi ke dar pe jao
phir mere paas aao
pehle dar e wafa pe apni jabeen jhukao
phir mere paas aao
bhai ke dam se mere is dehr mein wafa hai
wo hai dua e zahra wo aks e murtaza hai
izne dakhool pad kar uski riza jo pao
phir mere paas aao...
bat'tees saal waala jaane jigar hamara
hai jaan se zyada apni mujhe wo pyara
mujhse hai gar mohabbat us se wafa nibhao
phir mere paas aao...
paidal safar najaf se jab suye karbala ho
har ek qadam mayassar pani ho ya ghiza ho
ghazi ki haazri do chauda diye jalao
phir mere paas aao...
mushkil hazaar aayi tum se safar kiya hai
pahunche ho karbalka jo ghazi ka maujiza hai
tum khairiyat se aaye pehle usay batao
phir mere paas aao...
mai radh nahi karunga ghazi agar kahega
jo bhi dua hai dil mein us ko asar milega
haajaat apni saari jaa kar usay sunao
phir mere paas aao...
jageer e karbala ka maalik hai mera bhai
qabze mein aaj tak hai us sher ke taraayi
nehre furaat par tum lekar alam ko jao
phir mere paas aao...
ye gham usay hai ab tak pyasi rahi sakina
saqqa e karbala ko pursa hai uska dena
naame sakina pani bacchon ko tum pilao
phir mere paas aao...
gar tum se apna ab tak khafa kahin hai
bhai pe mere tum ko rone ka haq nahi hai
rootha hai gar jo bhai pehle usay manao
phir mere paas aao...
salman o shadman hai paigham e shaahe waala
ahle aaza hai daawa mujhse agar wafa ka
abbas e bawafa ka ghar par alam lagao
phir mere paas aao...