Kanz e Aza

islam ko sholon se bacha legayi zainab

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

basti se sitam garon ki kya legayi zainab

har ghum ko kaleje se laga le gayi zainab

kya layi thi kya karbobala legayi zainab

islam ko sholon se bacha legayi zainab

1.abbas ka parcham ho ke besheer ka ghula

jo azmat e islam ka baqi tha assasa

jalte huwe qaimo se utha legayi zainab


2.naize ki anni aur wo akber ka kaleja

wo qasam e noushah ka rouda huwa lasha

maqtal se yeh manzar bhi utha legayi zainab


3.gham aun o mohd ka liye saniye zehra

ujhdi huwi har goud ko dede ke dilasa

maqtal se kisi tarha mana legayi zainab


4.jab chagayi har simth ujalo pe andhere

teghoun se senaon se har ek zulm o sitam se

abeid ko bachana tha bacha legayi zainab


5.duron ke nasha dagh e rasan bhai ka kurta

wo shaam ka darbar wo zindan ka andhera

hum raha yeh saaman e aza legayi zainab


6.yeh gham hai fareed aaj bhi zainab ki amanat

jo seh ke har ek gaam musibat pe musibat

shabbir ke maqsad ko bacha legayi zainab