JAALAYI SHAM E AZA AYATOU KE SAAYE ME
1.Aseer Hoke Haram Karbala Se Jabke Chale
Madad Ke Waste Abass They Na Akber They
Sitam Aseeri Ki Zindan Me Subh o Shaam Sahe
Rehai Qaid Se Paate Hi Binte Hyder Ne
Jalayi Sham e Aza Ayatou Ke Saaye Me
2.Sitam Aseerou Ka Ehsas Bangayi Zainab
Aza Ke Qafale Ki Aas Bangayi Zainab
Padha Jo Waqt Toh Abbas Bangayi Zainab
Alam Ku Uncha Rakha Aayatou Ke Saye Me
3.Tadhap Ke Bhai Ke Chehre Ku Ek Nazar Dekha
Ghamou Se Chur Shaheedou Ku Sar Ba Sar Dekha
Jo Apne Bachou Ki Laashou Ku Khoon Me Tar Dekkha
Kiya Hai Shukre Khuda Aayatou Ke Saye Me
4.Sakina Mar Ke Bhi Zindan Se Reha Na Howi
Yateem Bachi Pe Wo Koun Si Jaafa Na Howi
Aseeri Abid e Bemaar Se Juda Na Howi
Behan Ku Dafan Kiya Aayatou Ke Saye Me
5.Sarapa Aayath e Tatheer Bangayi Zainab
Kabhi Hasan Kabhi Shabbir Bangayi Zainab
Ali Ki Bolti Tasweer Bangayi Zainab
Jihad e Sabr Kiya Aayatou Ke Saye Me
6.Numaya Parde Na Unwan Kargayi Zainab
Khuda ke Deen Pe Ehsan Kargayi Zainab
Rida ke Lafz Ku Quran Kargayi Zainab
Cheeni Jo Sar Se Rida Aayatou Ke Saye Me
7.Hamara Matam o Girya Qubool Hojaye
Hamare Ashkou ka Tohfa Qubool Hojaye
Yeh Pursa Fatima Zehra Qubool Hojaye
Karo Yeh Milke Dua Aayatou Ke Saye me
8.Dia Hai Ghum Ka Yeh Phuke se Phuk Nahin Sakta
Kisi Ke Ruke Se Matam Yeh Rukh Nahin Sakta
Hasan Alam Yeh Kisi Haal Jukh Nahin Sakta
Hai Karwan e Aza Aayatou Ke Saye Me