shabihe payambar haye haye ali akbar
kaise jiyegi tere bin haye ye maadar
ay jaan ali akbar
beta ali akbar maadar ko pukaro
ghamzada maadar ko chehra to dikhado
khaak se utho mujhko bula lo
maa hai pareshan kahan ho mere dilbar
ay jaan ali akbar
shabihe payambar...
qaid hui beta zindan chali maa
saare shaheedon ka allah nigehban
ghar hua veeran aao meri jaan
ho gya sajjad akela mera dilbar
ay jaan ali akbar
shabihe payambar...
maa ka ye armaan tha tujhe dulha banaati
maa teri dulhan ko naazon se sajaati
ho nahi paayi aas ye poori
aise gaye aaye na maidan se palat kar
ay jaan ali akbar
shabihe payambar...
maa hai rasan basta sar tera sina par
balwa e aada mein laaya hai muqaddar
ay mere pyare nok e sina se
dekh le maa teri hai balwe mein khule sir
ay jaan ali akbar
shabihe payambar...
beta ali akbar maadar ka hai waada
sogh manaungi ta umr tumhara
ab na piyungi thanda mai pani
ab na mai baithungi kabhi saaye mein jaa kar
ay jaan ali akbar
shabihe payambar...
pooch liya mujhse sughra ne jo tera
kaise bataungi akbar nahi aaya
royegi sughra tadpegi sughra
tere bina kaise jiyegi teri khwahar
ay jaan ali akbar
shabihe payambar...