Kanz e Aza

Jab Haal Dekha

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Saayib Zaidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

jigar ko thaam ke jab haal dekha akbar ka

ani ke saath mein nikla kaleja akbar ka


zameen e karbobala par hai phaila khoone pisar

bhara tha zakhmon se wo jism saara akbar ka

ani ke saath mein...


ani jo khaynchi to khoon aaya chehre par sheh ke

tadap ke reh gaye dekha hai chehra akbar ka

ani ke saath mein...


khuda ye meri za'eefi ka tha sahara jawan

sitam ke naize ne cheda hai seena akbar ka

ani ke saath mein...


dulhan biyaah ke laila na ghar mein la paayi

bane hai khoon bhare gaysu ye sehra akbar ka

ani ke saath mein...


jo khat hai aaya kaho kya jawab doon iska

ye keh ke naam hai ro kar pukara akbar ka

ani ke saath mein...


jo ugla khoon dehan se to dekh kar roye

wo hichki lena wo saansein ukhadna akbar ka

ani ke saath mein...


gale pe waar hai aisa ke bol bhi na sake

labon pe aah thi aur dam tha nikla akbar ka

ani ke saath mein...


jawan shaah ka dunya se ho chuka ruqsat

hai laaya qasid e sughra bulawa akbar ka

ani ke saath mein...


tadap ke ghazi ko sheh ne pukara hai saayib

uthaun kaise bata do ye laasha akbar ka

ani ke saath mein...