Kanz e Aza

Jangal May Mujhko

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Qamar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

jangal mein mujhko chod kar akbar kahan gaye

chilla rahi hai dayr se maadar kahan gaye


sadme teri judaai ke kaise uthaye maa

awaaz kuch to do mere dilbar kahan gaye

jangal mein mujhko...


seene mein isteraab hai dar par nigaah hai

ay mere hum shabihe payambar kahan gaye

jangal mein mujhko...


paigham maut ka tha ye attharwan baras

noor e nigaah sibte payambar kahan gaye

jangal mein mujhko...


ay hashmi jawan tamanna e fatema

ay arzoo e saaqi e kausar kahan gaye

jangal mein mujhko...


shabbir ki nigaah mein tareek hai jahan

laila ke chand mere munawar kahan gaye

jangal mein mujhko...


ghar hai udaas bali sakina hai beqarar

ay rooh e jaan e hyder o safdar kahan gaye

jangal mein mujhko...


ab kaise dekhe nana ki tasveer ko hussain

aaeena e jamaal e payambar kahan gaye

jangal mein mujhko...


maa tum ko dhoondti hai andhere mein raat ke

ghar bhar ki raushni mahe anwar kahan gaye

jangal mein mujhko...


aada e deen le gaye asbaab loot kar

chinti hai ab sakina ki chadar kahan gaye

jangal mein mujhko...


aaya hai shimr qaime jalane ke waaste

chadar haram ki chinti hai akbar kahan gaye

jangal mein mujhko...


jaa kar madine waalon ko mai doongi kya jawab

poochenge jab jawan ali akbar kahan gaye

jangal mein mujhko...


saydaniyo ke beech mein laila ke thay ye bain

maa ko akela chod kar akbar kahan gaye

jangal mein mujhko...


jab silsila hayaat ka tootega ay qamar

poochenge log khaadim e sarwar kahan gaye

jangal mein mujhko...