akbar huwe jawan jo bachpan guzaar ke
laila ye samjhi aaye hai ab din bahaar ke
ye kab khabar thi aayegi pardes mein qaza
armaan na honge poore dil e sogwaar ke
akbar huwe jawan jo...
akbar ko raas aaya na attharwan baras
loota khiza ne daur mein faslein bahaar ke
akbar huwe jawan jo...
husn e jawani e ali akbar ko dekhiye
laila sarhane baithi hai zulfein sawaar ke
akbar huwe jawan jo...
hamshakle mustafa pa bhi aaya na kuch taras
ibne anas ne qatl kiya naiza maar ke
akbar huwe jawan jo...
barchi ka phal hai seene mein hichki hai maut ki
sheh ko salaam karte hai akbar pukaar ke
akbar huwe jawan jo...
laila ke dil mein reh gaya armaan byaah ka
baithi hai gham raseeda muqqadar se haar ke
akbar huwe jawan jo...
laaye hussain qaime mein akbar ki laash jab
maa dekh kar tadapne lagi cheekh maar ke
akbar huwe jawan jo...
kubra ka ye bayan tha maadar se baar baar
behno ko de do bhai ka sadqa utaar ke
akbar huwe jawan jo...
afsos teen roz ke pyase huwe shaheed
kumla gaye hai hont mere gulzaar ke
akbar huwe jawan jo...
maa ki lehad pa aaoge padhne ko fateha
baithoge tum khareeb hamare mazaar ke
akbar huwe jawan jo...
muddat se dil mein maa ke tamanna thi mere laal
shaadi teri rachaungi sadqa utaar ke
akbar huwe jawan jo...
baad e hussain ahle haram hai barehna sar
zaalim ridayein le gaye sar se utaar ke
akbar huwe jawan jo...
bas aakhri ye dil ki tamanna hai ay qamar
rauze pa jald pahunche shah e naamdaar ke
akbar huwe jawan jo...