haye haye jawan akbar jawan akbar jawan akbar jawan
qaimon mein ek kohraam hai roti hai saari bibiyan
haye haye jawan akbar jawan akbar jawan akbar jawan
awaaz di mazloom ne nana madad ko aaiye
kadiyal jawan ki laash hai baba madad ko aaiye
seene mein mere laal ke todi hai qaatil ne sina
haye haye jawan...
ghurbat pe ab shabbir ki hasti hai fauj e ashqiya
mai kha raha hoo thokarein milta nahi laasha tera
akbar mujhe awaaz do tum gir gaye ran mein kahan
haye haye jawan...
akbar utho baatein karo aise nahi khamosh ho
kya dard hai hum se kaho mat haath seene par rakho
hum ko batao kya hua ragdo na beta aediyan
haye haye jawan...
baba ki jaan himmat karo tum to hamare sher ho
ye dard kam ho jayega ya fatema kehte raho
naad e ali pad kar abhi hum khaynch lete hai sina
haye haye jawan...
kadiyal jawan laasha koi jab bhi kisi ghar se utha
laashe se apne laal ke jab maa na ho paayi juda
dil ne tadap kar di sada haye ali akbar ki maa
haye haye jawan...
bachpan se tumne aaj tak baba se kuch maanga nahi
ab pani tum ko chahiye aur mai pila sakta nahi
tum se zyada khushk hai beta hamari khud zaban
haye haye jawan...
sajjad ye rote huwe aayi sada e fatema
qaime mein laasha le chalo jaldi se apne laal ka
aisa na ho beta kahin zainab bhi aa jaye yahan
haye haye jawan...