ay mere noore nazar ay mere laqte jigar
baap aaya hai utho dekho to haal e padar
maula ne kaha bete ke shaane ko hila kar
ali akbar ali akbar
kyun uth'te nahi ho meri awaaz pe akbar
ali akbar ali akbar
baba hai pareshan zara aankhein to kholo
barchi kahan khaayi hai kahan dard hai bolo
yun aediyan ragdo na mere laal zameen par
ali akbar ali akbar
maula ne kaha bete ke...
taari hai ghashi tum pe lahoo beh gaya kitna
himmat nahi uthne ki to letay raho beta
mai theek hoo aahista se kehdo mere dilbar
ali akbar ali akbar
maula ne kaha bete ke...
gir gir ke har ek laash se mai pooch raha tha
kya tum mere akbar ho bata do mujhe itna
mai laash pe pohuncha hoo teri ghutniyo chal kar
ali akbar ali akbar
maula ne kaha bete ke...
gardan mein meri haath zara daal do beta
baba ke sahare se utho ghar chalo beta
godhi mein utha sakta nahi mai tumhe akbar
ali akbar ali akbar
maula ne kaha bete ke...
hum saara nahi padh sake akbar khat e sughra
is baat ka mai kya doo jawab usko ay beta
shaadi ka teri pooch rahi hai teri khwahar
ali akbar ali akbar
maula ne kaha bete ke...
bache ko mere maar ke haste hai jo aada
mai bad'dua de doon to koi bhi na bachega
ay laal hai hum naakha e saaleh se to badh kar
ali akbar ali akbar
maula ne kaha bete ke...
sona to hai to aajao meri jaan sulayein
aao phupi amma ki tumhe lori sunayein
hum baith gaye baba ki zaanu pe rakho sar
ali akbar ali akbar
maula ne kaha bete ke...
aahista se sajjad pukare shah e waala
shabbir ki ghairat ko gawara nahi beta
uth jao nikal aaye na zainab meri baahar
ali akbar ali akbar
maula ne kaha bete ke...