ali akbar sidharo
shahe waala ne di awaaz ay hamshakle paighambar
ali akbar sidharo
baqa e haq ki khaatir baandh lo beta kafan sar par
ali akbar sidharo
wo dekho wo bade aate hai aada jaanib e qaima
bado aur bad ke beta rok do badta hua lashkar
ali akbar sidharo...
gala kat jaaye lekin haq pe aanch aane nahi paaye
hifazat deen ki hum pe hai hum hai aale paighambar
ali akbar sidharo...
jo raah e haq mein maut aaye to mar jaana shahadat hai
shahadat ka ye saagar shehed se shireen hai ay dilbar
ali akbar sidharo...
tumhare baazuon mein quwwate baazu e haider hai
tumhare saamne kya hai bhala ye fauj ye lashkar
ali akbar sidharo...
ani khud bad ke barchi ki lagalo apne seene se
jigar par khao ab zakhme sinaan o teer has has kar
ali akbar sidharo...
ijazat maa se haan ab jaa ke qaime mein zara lelo
phuphi se hum ijazat khud dila denge tumhe chal kar
ali akbar sidharo...
pisar ko barchiyon mein bhejna aasaan nahi beta
hai fitrat ka taqaza ghash bhi ho sakti hai maa sun kar
ali akbar sidharo...
phuphi ke saath hi ay laal hai bemaar ka qaima
ye rakhna dhyaan chank uthe na ghash se abide muztar
ali akbar sidharo...
shikayat pyaas ki ab jaa ke dada jaan se karna
tumhe sairaab beta ab karenge saaqi e kausar
ali akbar sidharo...
sina khaa kar jo girna khaak par gir kar sada dena
tumhari laash pe sajda karunga shukr ka dilbar
ali akbar sidharo...
jawan bete ka laasha kis tarha laate hai maqtal se
zamana dekh lega daur e ibne faatahe khyber
ali akbar sidharo...
ye lamha dard ka cha jayega yun deen e aalam par
na bhoolega zamana hashr tak ye dasht ye manzar
ali akbar sidharo...
jo sun lega mera bhai tumhe jaane nahi dega
wo bebas mujhko kar dega mere qadmon pe sar rakh kar
ali akbar sidharo...