Kanz e Aza

Ali Ali Hai Zaban

A noha for Imam Ali (a.s), written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

ali ali hai zaban par kabhi hussain hussain


ali ke zikr ko apni baqa samajhte hai

hum aap in ki fazilat ko kya samajhte hai

khuda samajhta hai ya mustafa samajhte hai

nahi samajhte jo in ko khuda samajhte hai

ali ali hai zaban par...


khuda nahi hai magar wajhe kirdagaar to hai

ye do jahan mein khudayi ka aetbaar to hai

jahan mein doshe payambar ka sheh sawaar to hai

raza e haq pe unhe poora ikhtiyar to hai

ali ali hai zaban par...


ohad ki jang mein dekhe ajab ajab kirdaar

kahin hai zikre shuja'at kahin hai zikre faraar

zameen se taaba falak hai ali ali ki pukaar

utar rahe hai malayek liye huwe talwaar

ali ali hai zaban par...


samajh saka na zamana maqam e ahlebait

kalaam haq hi samjhe kalaame ahlebait

jagah jagah pe sunao payame ahlebait

karo jahan mein raaij nizaam e ahlebait

ali ali hai zaban par...


ye wo nahi jinhe dunya khareed sakti hai

ye wo hai jinke tasadduq mein khalk palti hai

sune wo jinko mohabbat ali ki khalti hai

qadam se in ke shariyat nabi ki chalti hai

ali ali hai zaban par...


nabi ke saath jo rehte thay us zamane mein

wohi thay aale mohamed ka ghar jalane mein

kuch aise naam bhi shaamil hai is fasane mein

hijab aata hai ab tak hamay batane mein

ali ali hai zaban par...


dua e fatema zehra hai jab talak qayam

na ruk sakega kisi se hussain ka matam

sune zamana hai jab tak hamare dam mein dam

rakhenge yunhi buland hum hussain ka parcham

ali ali hai zaban par...


kasar kisi ne na chodi hamay mitane mein

khuda hi apna muhafiz tha har zamane mein

ye rok tok hai kyun sheh ka gham manane mein

yazeed kya abhi zinda hai is zamane mein

ali ali hai zaban par...