Kanz e Aza

Haya Ala Qairil Amal

A noha for Imam Ali (a.s), written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

haya ala qairil amal

hai waqt abhi nadaan sambhal

khudrat ka hai kanoon atal

meezane muwaddat par kal ko

tul jaayega ek ek amal

haya ala qairil…


wo sehra wo awaaze azan

maulayi ke ahdo paymaan

chauda sau baras guzre ab tak

deta hai sada qum ka maidan

haya ala qairil…


mai jiska maula hoo uska

hai mera baad ali maula

paalane shutar ke mimbar se

dete hai sada mehboobe khuda

haya ala qairil…


kaandhon pe ali haaton pe ali

kaabe mein kabhi mimbar se kabhi

aalam ko nabi e akram ne

batlaya ye hai mera wasi

haya ala qairil…


zaahir mein kabhi baatin mein kabhi

andaz wohi atvaar wohi

ye bughze ali ki bemaari

is waqt bhi hai us waqt bhi thi

haya ala qairil…


jangal jangal sehra sehra

basti basti khariya khariya

aalam mein payame haq ban kar

goonjegi qayamat tak ye sada

haya ala qairil…


har soo na bhatak har dar pe na ja

kyun phirta hai maara maara

ab bhi hai khuli haq ki raahein

deti hai sadaye karbobala

haya ala qairil…


subhe ashoor jab aati hai

tareekh e wafa dohrati hai

har saal zameen e aalam ko

paigham yehi de jaati hai

haya ala qairil…


hai subhe dahum mehshar hai ayan

saf baandhe khade hai peer o jawan

dil kaamp uthe jis waqt goonji

maqtal mein ali akbar ki azan

haya ala qairil…