bain karti hi rahi qabr se yeh binte nabi
haye mazloom ali mere mazloom ali
mere pehlu ki tarha aap ka sar hai zakhmi
haye mazloom ali mere mazloom ali
gumbad e khizra o kaaba mein bapa hai matam
tod kar bande kafan maine kiya hai matam
jis ghadi aap pe masjid mein hai talwaar chali
haye mazloom ali...
mere baba se kiya waada nibhane ke liye
khud ko tanha kiya islam bachane ke liye
shiddate adl tere pairon ki zanjeer bani
haye mazloom ali...
qatl e mohsin ho ya darbar mein meri peshi
zabt khud par kiya aur mujhko tasalli bhi di
aap ki tarha jahan mein nahi mazloom koi
haye mazloom ali...
aaj kufe ki hai shahzadi tumhari beti
kal isi shehr mein aayegi wo ban kar qaidi
aakhri hadh mere waali hai ye ghurbat ki teri
haye mazloom ali...
is ghadi khatm hui thi meri saari khushiyan
zinda rehne ki mere dil mein thi hasrat hi kahan
maine jab aap ki gardan mein rasan dekhi thi
haye mazloom ali...
waqte ruqsat tha qayamat ye tasalli thi magar
aap ka saaya to baaqi hai mere bacchon par
aap ne kaise wida bacchon se maangi hogi
haye mazloom ali...
bain ye mohsin o darwaish kiya zahra ne
kal inhi ke liye aaye thay jinaah se kurte
aayi hai eid pe kufe mein jin aankhon mein nami
haye mazloom ali...