hogayi aah bepidar zainab
kam hai ab roye jis qadar zainab
aaj hai farshe gham pe ahle aza
baap ke gham may nauhagar zainab
hogayi aah bepidar...
hil raha hai mazaar roti hai
maa ki turbat pe khole sar zainab
hogayi aah bepidar...
rok le aansuon ko apne zara
ab to rona hai umr bhai zainab
hogayi aah bepidar...
ibteda hai abhi to kufe may
tujhko hona hai dar badar zainab
hogayi aah bepidar...
dekhna ek din dikhayegi
shaam tujhko yehi sehar zainab
hogayi aah bepidar...
majma e aam hoga galiyon may
aur hogi barehna sar zainab
hogayi aah bepidar...
karte hai jis tarha yateem basar
ab karo umr yun basar zainab
hogayi aah bepidar...
raunaqein uth rahi hai dunya ki
jaa raha hai tera pidar zainab
hogayi aah bepidar...
sayyeda aagayi hai jannat se
saara matam kada hai ghar zainab
hogayi aah bepidar...