Kanz e Aza

Hogayi Khatm Jafa

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

asghare baysheer ke saath hogayi khatm jafa

khud sitam roya hai mil mil ke galay teer ke saath

hogayi khatm jafa…


daudte jaate hai sheh akbare dilgeer ke saath

zor chalta nahi tadbeer ka taqdeer ke saath

hogayi khatm jafa…


nange pa legaye bemaar ko ta shaam layeen

bediya royi lahoo paon ki zanjeer ke saath

hogayi khatm jafa…


kis mein dum tha jo rida leta sare zainab se

haye abbas e dilawar na thay hamsheer ke saath

hogayi khatm jafa…


saath choda nahi zainab ne kabhi bhai ka

sar barehna phiri dar dar sare shabbir ke saath

hogayi khatm jafa…