Kanz e Aza

Hoke Barbaad Mai Aayi Hu

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram. Lyrics in Roman Urdu.

Ho ke barbad mai ayi hun Madina mere nana ×2

Sath saoghate safar layi hun kya kay mere nana -

Ho ke barbad mai ayi hun Madina mere nana ×2

Maine choda tha Madina to bhara ghar tha mera

Bhai shabbir as  the abbase as dilawar tha mera

Sath aya hai alam khun me duba mere nana –

Ho ke barbad mai ayi hun Madina mere nana ×2

Chhe mahine ka wo Asghar bhi nahi bach paya

Phool si jan pe ada ko taras na aya

Zulm ke teer se mara gaya bachha mere nana –

Ho ke barbad mai ayi hun Madina mere nana ×2

Teri tasweer meri ankho ka tara Akbar

Ho gaya khun me ghaltan wo mera nure nazar

Uske sine pe bhi mara gaya naiza mere nana –

Ho ke barbad mai ayi hun Madina mere nana ×2

Mere bhai ko laino ne bahot tadpaya

Kund khanjar se hi kata hai gala pyase ka

Khun bhara sath mai le ayi hun kurta mere nana –

Ho ke barbad mai ayi hun Madina mere nana ×2

Choor masum thi zakhmo se jala tha kurta

Dil me arman sajae thi watan ane ka

Rahegai sham ke zindan me Sakina mere nana –

Ho ke barbad mai ayi hun Madina mere nana ×2

Kaise batlaun jo ummat ne mujhe zakhm diye

Sham o Kufa ke dayaro me phiraya hai mujhe

Apne balon se chupati rahi chaehra mere nana –

Ho ke barbad mai ayi hun Madina mere nana ×2

Qabre mursal saww pe qayamat ka sama tha manzar

Ro ke zinab sa

Ne jo shano se hatayi chadar

Neel shano ke abhi dekho hai taza mere nana –

Ho ke barbad mai ayi hun Madina mere nana ×2