SHAH-E-KARBOBALA DUQTAR-E-FATIMA
EK BAHEN TERI EK BETA TERA
JAA RAHA HAI WATAN YE LOOTA QAFELA
Chodkar Kya Watan Ko Jaye Bahen
Sath Mere Nahi Haye Sheri Suqan
Desaki Na Unhe Bhi Do Gaz Kafan
Jaa Raha Hai Watan Ye Loota Qafela
Kaisi Shadi Huwi Teri Ibne Hassan
Bewa Dulhan Bani Ujdi Ban Mei Dulhan
Para Para Huwa Ran Mei Sime Badan
Lash Kaisi Mili Jane Mushkil Kusha
Haye Barchi Ka Phal Aarzu Mitgayi
Umme Laila Garib Hath Malti Rahi
Zainab Qasta Dil Dekti Rehgayi
Shah Ka Kadyal Hawa Samne Chal Basa
Jab Wantan Jaungi Chain Kya Paungi
Sughra Pouchegi Jab Kaise Samjaungi
Sath Asghar Nahi Kya main Bataungi
Teer Juhi Laga Muskurakar Gaya
Parcham Haq Utha Daste ghazi Kate
Badh Unke Haram Ban Mei Shahke Lute Phir Haram Pe Sitam Aur Badte Rahe
Qaime Jalne Lage kurte Bhi Jalae Gaye