Kanz e Aza

Jangal May Bhare

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, written by Zameer Akhtar. Lyrics in Roman Urdu.

jangal mein bhare ghar ko luta aayi hai zainab

ay shehre madina

abid ko kisi tarha bacha laayi hai zainab

ay shehre madina


bandwake rasan haaton mein aur khutbe sunake

ghar baar lutaake

dewaar bade kufr ke dha aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


jis shehr mein shehzadiyon ki tarha rahi thi

naazon se pali thi

sar nange usi shehr mein ho aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


jo hijre padar mein rahe har waqt pareshan

soyi nahi ek aan

us bachi ko zindan mein sulaa aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


dhaaras thi bahot bhai ko jis bhai ke dam se

dil phat'ta hai gham se

saahil pe akela usay chod aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


cheh maah ke asghar ko bhi jhoole ke bajaye

dukh dard chipaaye

aaghosh mein turbat ke sula aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


thay aun o mohamad jo meri ankhon ke taare

mamu ke dulaare

qurban unhe bhai par kar aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


tha akbare nashaad jo is ghar ka ujaala

wo gaysuon wala

marqad mein akela usay chod aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


naadim hai bahot laa saki qasim ko na humraah

wa hasrato darda

kubra ko magar saath liye aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


pani jo piye ehle watan pyaas na bhule

moo ashkon se dhole

kehne ko ye bhai ka payaam aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


manzar wo bhula sakti nahi ta dame aakhir

hai kehne se qaasir

jo shaam ke darbar mein dekh aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


kis waqt khuda jaane qadam nikle thay ghar se

chaadar chini sar se

ab tak na masayab se nikal payi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


shabbir pe ab royega ta hashr zamana

hai gham ka fasana

majlis ki bina shaam mein daal aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…


reh jayega akhtar ufaqe gham pe tera naam

kya khoob hai inaam

nowha tera sun'ne ke liye aayi hai zainab

ay shehre madina

jangal mein bhare…