Kanz e Aza

Ay Dilbarane Jafare

A noha for Aon o Mohd (a.s), written by Zameer Akhtar. Lyrics in Roman Urdu.

ay dilbarane jafare tayyar alwida


binte ali ye bachon se kehti thi baar baar

ran ko sidharo auno mohamed ye maa nisar

ay dilbarane jafare…


jafar ka ifteqar badana jihad mein

nana ki apne shan dikhana jihad mein

ay dilbarane jafare…


sher e khuda ki beti ke tum dono sher ho

maidan mein jao fatha mein ab kuch na dayr ho

ay dilbarane jafare…


har baat apne dil ke siwa ho to baat hai

wo ran pade ke hashr bapa ho to baat hai

ay dilbarane jafare…


ghayre rahe sipah magar moo na modna

hyder ki yaadgar ho maidan na chorna

ay dilbarane jafare…


shimr o umar ke sar jo utaro to khush hoo mai

dushman ko jhoom jhoom ke maaro to khush hoo mai

ay dilbarane jafare…


ab to ye arzoo hai ke tum ran mein kaam aao

chehre ke badle khoon bhare chehre mujhe dikhao

ay dilbarane jafare…


bachon zaeef mamu ko zehmat na dijiyo

laashe uthaye bhai to jumbish na kijiyo

ay dilbarane jafare…


pyase jo aaoge to sila degi tum ko maa

khud daud kar galay se laga legi maa

ay dilbarane jafare…