ay zaafare jin aap bhi aaye thay wahan par
kya aap ne dekha
ashoor ke din lut gaya zehra ka bhara ghar
kya aap ne dekha
zainab ke pisar neemche haaton pe uthaye
aur khoon mein nahaye
darya ki taraf pusht kiye mar gaye dilbar
kya aap ne dekha
ay zaafare jin…
qaime mein kahin kya koi masnad bhi bichi thi
dulhan bhi khadi thi
jab kholi gayi laashaye nowshah ki chadar
kya aap ne dekha
ay zaafare jin…
allah re wo saani e hyder ba alamdar
wo sheh ka wafadar
kis tarha gira ghode se be-dast zameen par
kya aap ne dekha
ay zaafare jin…
sunte hai ke barchi mein kaleja nikal aaya
sakte mein hai dunya
khenchi hai sina shaah ne jo ya ali keh kar
kya aap ne dekha
ay zaafare jin…
baysheer ka khoon lene se inkaar kiya hai
jab arz-o-samaa ne
tab sheh ne mala chehre pe khoone ali asghar
kya aap ne dekha
ay zaafare jin…
mazloom ke seene pe tha sawaar sitamgar
tha hashr ka manzar
aur khushk galay par tha rawan shimr ka khanjar
kya aap ne dekha
ay zaafare jin…
jab phail gayi charon taraf shaam e ghariban
mahol tha giryan
bachi koi baba ko sada deti thi rokar
kya aap ne dekha
ay zaafare jin…
bemaar ka bistar ho ke baysheer ka jhoola
sab jal gaya wallah
shahid na tha is zulm ka koi bhi wahan par
kya aa pne dekha
ay zaafare jin…