aza e ahle haram ke din hai
ye zikre daure sitam ke din hai
hamara girya hamara matam
suna raha hai hussain ka gham
laraz raha hai tamaam aalam
jahan may shaahe umam ke din hai
aza e ahle haram…
tabaah zehra ka ghar hua hai
galay pe sheh ke khanjar chala hai
supurde jaan ka ye silsila hai
haram pa dard o alam ke din hai
aza e ahle haram…
kisi ka laasha aba may aaya
kisi ne seene pa zakhm khaaya
koi zamane pe muskuraya
hussain bekas pe gham ke din hai
aza e ahle haram…
dukh apna zainab kise sunaye
batao darbar kaise jaaye
behen ko abbas yaad aaye
faza e mashk o alam ke din hai
aza e ahle haram…
safar se zainab palat ke aayi
salam leeje hussain bhai
watan ko jaati hai maa ki jaayi
qadam qadam chashme nam ke din hai
aza e ahle haram…
na kam ho shahid hussain ka gham
sada bahe yuhin ashke payham
na jaane kal ho bhi ya na ho hum
ye momino pe karam ke din hai
aza e ahle haram…