azal se dil hai ghame sibte mustufa ke liye
ye aeena to bana tha isi jila ke liye
khuda e paak ne bakshe hai arsh ke gowhar
hassan hussain sa zewar hai fatema ke liye
azal se dil hai...
bada jigar tha tera ay rasool ki beti
pisar hussain sa paala tha karbala ke liye
azal se dil hai…
dare hussain hai manzil numeine zaate khuda
dare hussain pa sajde karo khuda ke liye
azal se dil hai…
dua ko haath uthaye ke bas murad aayi
hussain aisa waseela bane dua ke liye
azal se dil hai…
zamane bhar ke hai sajde umeed bakshish par
magar hussain ka sajda faqat khuda ke liye
azal se dil hai…
ghareeb dil ki bhala nazr aur kya hogi
mera salaam shaheedan e karbala ke liye
azal se dil hai....
labe furaat qalam hoke baazu e abbas
sutoon ban gaye tameer e karbala ke liye
azal se dil hai…
ghazab ka waqt hai aale rasool yun mohtaj
kafan ke waaste bhai behan rida ke liye
azal se dil hai…
ghame hussain ko aasan samajh rahe ho wasi
ye imtehan hai dile sabr o aazma ke liye
azal se dil hai…