baba mera maara gaya aaye nahi kyun dada jaan
baba pe jab khanjar chala aaye nahi kyun dada jaan
ehsaas ye mujhko hua aulaad ki ulfat hai kya
tumko sada beti ne di aaye najaf se karbala
deti rahi jab mai sada aaye nahi kyun dada jaan
baba mera maara gaya...
wo dekho saahil pe zara ammu ka hai laasha wahan
maara gaya saqqa mera mai reh gayi tashna dahan
ammu gaye bhaiya gaya aaye nahi kyun dada jaan
baba mera maara gaya...
tumko sada deti rahi ya aeliya kehti rahi
kyun ro rahe hai dada jaan ab dekh kar haalat meri
sun kar meri aah o buka aaye nahi kyun dada jaan
baba mera maara gaya...
ashkon se hi tashna labi maine bujhayi dada jaan
maare gaye is dahsht mein sab mere bhai dada jaan
mera bhara ghar lut gaya aaye nahi kyun dada jaan
baba mera maara gaya...
le kar gaya shimr e layeen kaano se jab gohar mere
maine sada di aap ko us waqt hi rote huwe
aajaiye behre khuda aaye nahi kyun dada jaan
baba mera maara gaya...
ek hashr sa ran mein utha safdar hua matam bapa
ro ke sakina ne kaha aana hi tha jab karbala
baba pe jab khanjar chala aaye nahi kyun dada jaan
baba mera maara gaya...