Kanz e Aza

Darya Hai Hamara

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Safdar Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

lo baand chuka mashk ko parcham se alamdar

darya ki taraf dekha bade ghaiz se ek baar

taweez sakina ki duaon ka utha ke

zainab se kaha baandh de baazu pe hamare


is shaan se nikla suye darya wo wafadaar

ek shor utha aaya shahe deen ka alamdar

abbas alamdar abbas alamdar


abbas ne ye keh ke layeeno ko pukara

darya hai hamara darya hai hamara


hum hyder e karrar ke keh laate hai saani

le jayenge pani

bas keh diya hum aagaye ab chodo kanara

darya hai hamara...


be-taygh hi ladne ke liye aate hai dekho

lo raasta roko

hat'te ho ke siffeen ka dikhlaye nazara

darya hai hamara...


hum maalik o mukhtar hai is kon o makan ke

is aab e rawan ke

ye khaam khayali hai ke darya hai tumhara

darya hai hamara...


hum baazu e shabbir hai saqqa e haram hai

pyason ka bharam hai

shahid hai isi baat pe ye dasht bhi saara

darya hai hamara...


hai dukhtare shabbir hamay jaan se pyari

hai saans hamari

keh kar yehi aaye thay karo zabt ka yaara

darya hai hamara...


pehre jo bithaye hai bohat naaz hai tum ko

darya se to poocho

khud tum ko batayega ye darya ka kanara

darya hai hamara...


shabbir se kehti thi yehi fatema jaayi

deti hoon duhaai

ye keh ke alamdar ko bulwao khudara

darya hai hamara...


abbas ke marqad ke jo atraaf hai pani

ye bhi hai nishani

goya ke alamdar ye karta hai ishaara

darya hai hamara...


abbas ke qabze mein hai darya o samandar

kehta hai ye safdar

phir kyun na azadaar lagaye yehi naara

darya hai hamara...