darya se laut kar na alamdaar aa sakay
afsos bekason ke na ghamqaar aa sakay
wo teen din ki pyas wo garmi labe firaat
aale rasool pyas na apni bhuja sakay
darya se laut...
jhuk kar kamaan hogayi mazloom ki kamar
abbas tera laasha na sarwar utha sakay
darya se laut...
keh kar jahaan se chal diye abbas-e-bawafa
aaqa mera janaza na qaimo may jaa sakay
darya se laut...
darya se pani laake gira dete thay layeen
asghar ko ek boond na pani pila sakay
darya se laut...
awaaz do abbas ko zindaan-e-shaam may
tashna dahan sakina ki turbat bana sakay
darya se laut...