zamana tehra dekh kar haibate abbas
inteha ye hai ke behta hua darya tehra
hai alamdar teri jurrat o himmat ke misaal
door pani se tere jism ka saaya tehra
dekh kar haibate…
karbala ki hai zameen aur farishton ki jabeen
sajdaga hai to kahan shaah ka rauza tehra
dekh kar haibate…
kis tarha ab dil e betaab ko behlaye maa
godh khaali hai nazar aata hai jhoola tehra
dekh kar haibate…
jab sakina ko rahe shaam mein girte dekha
kaarwan jispe sar e shaah wo naiza tehra
dekh kar haibate…
tadpa qaime mein jo awaaz kamaan ki sunkar
zinda ta-umr wo madar ka kaleja tehra
dekh kar haibate…