deti hai zainab sada ho kahan aye bawafa
hai sitam ki inteha ho kahan aye bawafa
1. aye jawano ke jawan, mere bhai ho kahan
sani-e-shair-e-quda, lashkar-e-shai ke jawan
aye alamdar-e-wafa, mere baba ke nashan
ab nahi koi mera, ho kahan aye bawafa
2. haye jab mazloom ke seene par naiza laga
wo faras ki pusht se dagmaga kar gir pada
saamne mere chala kund khanjar shimr ka
de rahi thi mein sada ho kahan aye bawafa
3. ab na bache hai mere aur na hain qasim yaha
margaya ran mein mera haye wo kadiyal jawan
teer khakar zulm ka chal basa hai bezaban
hain na koi aasra ho kahan aye bawafa
4.qatl sare hogaye koi yara na raha
puchne wala koi ab hamara na raha
jis se dhaaras thi mujhe wo sahara na raha
kya kare bahene bhala ho kahan aye bawafa
5. mashk lekar kya gaya phir na aaye laut kar
kya nahi lena tumhe apne bahena ki qabar
tum ne yeh soncha nahi hoga kya iska asar
chin gayi sar se rida ho kahan aye bawafa
6. tere marne se jari har sitam mujh par huwa
raat din karti hoon mein, apne marne ki dua
tune ki aysi wafa naaz karti hai wafa
aye wafaoun ke khuda ho kahan aye bawafa
7. muntazir teri rahi haye nazoun ki pali
rah takti hi rahi haye nazoun ki pali aur wo pyasi rahi haye nazoun ki pali
tumko deti thi sada ho kahan aye bawafa
8. gham ki ek tasveer thi shaam ke zindan mein
har sitam sehti rahi shaam ke zindan mein aur wo ghut kar margayi shaam ke zindaan mein
haal toh dekho zara ho kahan aye bawafa
9. dekh kar zulm-o-sitam muztarib thi bebiyan
jal chuke qayme sabhi tha fazaon mein dhuwan
rokle sarwat qalam rok le apna bayan
thi fazaon mein sada ho kahan aye bawafa