fatema zehra ke pisar noor e nigahe paighambar
aye dil o jaan e hyder - 2
haan mazloom e karbala ya hussain
haan ghareeb e nainawa ya hussain
haan karbala karbala karbala
1. tukdey huwa dulha ka badan
bewa huwi hai kubra dulhan
tootenge ab ranj o mehan
bandhenge bazoo mein rasan
haan ummey farwa ya hussain
haan roti hai dukhiya ya hussain
haan karbala karbala………… 2. karti hai zainab yeh fughan
khayee hai akbar ne sina
qaakh huwe tere armaa
chaya hai aankhoun mein dhuwan
haan lasha jawaan ka ya hussain
haan tuney uthaya ya hussain
haan karbala karbala………… 3.dariya par saqa e haram
leke gaya tha mashk o alam
sar pe laga hai gurz e sitam
yaad woh karti hai paiham
haan teri sakina ya hussain
haan padhti hai nouha ya hussain
haan karbala karbala………… 4.koi khushi ab raas nahi
jeene ki bhi aas nahi
qasim o akbar paas nahi
bhai mera abbas nahi
haan teri behna ya hussain
haan hogai tanha ya hussain
haan karbala karbala………… 5.teer jo asghar khayega
har lamha rulwayega
chain na maa ko aayega
gham yeh bohot tadpayega
haan aye mere aqa ya hussain
haan roti hai zehra ya hussain
6.kaise dekhoo yeh manzar
rakhib-e-dosh-e-paighambar
uftada hai reti par aur gale par hai khanjar
haan tera tadapna ya hussain
haan dekhengi zehra ya hussain
haan karbala karbala………… 7.dasti hai ab tanhai
ghere huwe hain ruswai
itna batadey aye bhai
kaise jeeyegi maajaee
haan phatjayega ya hussain
haan mera kaleja ya hussain
haan karbala karbala………… 8.qaid mein hai sajjad e hazin
behre madad ab koi nahi
zulm o sitam dhate hain layee phir bhi hai sajde mein jabee
haan dedo sahara ya hussain
haan karbala karbala………… 9.bain yeh zainab ke sunkar
bole raza - razvi - o – nazar
dard mein dooba hai manzar
phatta hai har ek ka jigar
haan sunke yeh nouha ya hussain
haan kehti hai karbala ya hussain
haan karbala karbala…………