Kanz e Aza

Haan Tha Mera Baba

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Haan Tha Mera Baba


Rasn may gale bara aur barhena sar jab

Aaye shaam ke darbar may darida jigar

Pari Sakina pe nagah us shaqi ki nazar

Yazid naam tha jiska sajaye tha darbar

Liye tha godh may dukhtar ko apni woh makkar

Woh apni bachchi ke balon may haath perta tha

Laga ke sine se bachchi ko pyaar se dekha

Lehek ke bali Sakina se shaki bola

Tujhe bhi baba tera eyse hi pyaar karta tha

Kaha Sakina ne may shahedi ki pyaari hoo

Tabaha haal hoo is dum dukho ki maari hoo

Tu mere baba ka gandi zubaan se naam nale

Guror itna nakar bandh ke rasn may hame

Mei kitni pyaari thi baba ki kya bataon tujhe

Mei bhol sakti nahi apne baba ko marke

Mei jab bhi roti thi baba mujhe manata tha

Aray bandha ke haatho ko jula mujhe julata tha


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)


1) May sine pe soti thi (x2) Taskin si hoti thi (x2)

Maa banke mujhe jisne aagoosh may pala tha


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)


2) Kya puchta hai mujh se (x2) Kud puchle baba se (x2)

Sar taaqt pe rakkha hai woh bhi bata denge


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)


3) Mei jiski dulari hoo (x2) Woh dard ki maari hoo (x2)

Gar simt bulao may sar godh may aayega


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)


4) Kyu mujh ko rolata hai (x2) Esa kahi hota hai (x2)

Bin baap bachhi ko dete hai delasa


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)


5) Teri bhi tu beti hai (x2) Godi may jo bethi hai (x2)

Tu dekh use zalim phir dekh mera chehra


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)


6) Abbas agar hote (x2) Kunbe ko mere kese (x2)

Tu bandh ke rassi may darbar may lata


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)


7) Yeh kurta phata mera (x2) Jo khoon may hai dooba (x2)

Abbas jo dekhenge ek hasr uthenga


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)


8) Chalta na agar khanjar (x2) Shabbir ki gardan par (x2)

Hum qaid nahi hote akbar na sina khata


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)


9) Yeh khaak asiri ki (x2) Chehro pe nahi hoti (x2)

Baba mera sajde may gar sar na katata


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)


10) Rehan qalam mera (x2) Likh kar yeh bayan roya (x2)

Kagaz pe gire aanso dil dard se tadpa


Haan tha mera baba mere liye zindan

Haan tha mera baba (x2)

Haa tha mera baba (x2)