haaris quda ko maan ye joro jafa na kar
muslim ke laadlo ke saro ko juda na kar
bacho ke sar ko kaat ke kya haath aayega
bin baap ke hai maa se tu unko juda na kar
tu unke sin ko dekh yateemi ke gham ko dekh
in chote chote bacho pe zalim jafa na kar
ghar me tere panah jo le us se ye sulook
bedard meh'maano se apne dagha na kar
zahra pukaarti hai na darya pe qoo'n baha
zaalim jala ke dil ko mere aabela na kar
zalim quda bachaae ghareebo ki aah se
haath is sitam se khainch qayamat bapa na kar
paayega phal na kaatke inke saro ko tu
barbaad is tarah chamane mustafa na kar