Kanz e Aza

Haye Muslim ke Pisar

A noha for Pisaraan-e-Muslim (a.s), written by Bilal Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

haye muslim ke pisar


neem jaan rote rahe apni jaan khote rahe

kuch na faryad suni us sitamgar ne magar

haye muslim ke pisar...


kahin dekhi na suni ye ghareebul watani

taygh haaris ki chali kat gaye dono ke sar

haye muslim ke pisar...


behre shaah e shohada dono bache ba khuda

apne baba ki tarha ho gaye khoon may tar

haye muslim ke pisar...


kaun kufe may bhala jaa ke muslim se kahe

nehr par maare gaye aap ke lakhte jigar

haye muslim ke pisar...


papliyan honton pe thi thay ghazab ke pyase

chal pade shehzade suye hauze kausar

haye muslim ke pisar...


roke zauja ne kaha ye hai be-jurm o khata

kuch taras kha haaris in pe ye zulm na kar

haye muslim ke pisar...


dono laashe ba khuda yun ba ghalgeer hui

jaise milta ho galay aake suraj se qamar

haye muslim ke pisar...


is tarha qatl huwe mere dono bache

hoga ek hashr bapa jab sunegi maadar

haye muslim ke pisar...


aayi yasrab may bilal jab lahoo ki khushboo

aa gaye laal mere kehe daudi maadar

haye muslim ke pisar...