Kanz e Aza

kehte the muslim ke laal maar na haris hame

A noha for Pisaraan-e-Muslim (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

kehte the muslim ke laal maar na haris hame

ham hai bohot qurdsaal, maar na haris hame

roenge jaafat bohot peetenge hyder bohot

hoga nabi ko malaal, maar na haris hame


ham ko hai sab jaante, ham ko hai sab maante

ham hai payambar ki aal, maar na haris hame

qaid me muddat rahe, zulm layee'n ke sahe

badh gaye hai sar ke baal, maar na haris hame


maa se phupi se juda, baap na sar par raha

kehte hai aansu nikaal, maar na haris hame

maare tamache jo hai , haal ye kisse kahe'n

dono hai ruqsaar laal, maar na haris hame


haaye na ghar jaa sake, maa ki qabar paa sake

sadma hai hamko kamaal, maar na haris hame