kehti hai khud amariyan taqreer ke baghair
zainab watan mein aayi hai shabbir ke baghair
asghar ke intezar mein sughra ko kya khabar
maa karbala se aayi hai baysheer ke baghair
kehti hai khud amariyan...
ummul baneeen sunti hai haal apne laal ka
kyunkar lada layeeno se shamsheer ke baghair
kehti hai khud amariyan...
nana hamari peet pe durro ke ye nishan
khatre kitaabe daur hai tehreer ke baghair
kehti hai khud amariyan...
nana utha janaza meri maa ka raat mein
balwe mein thi mai chadar o tauqeer ke baghair
kehti hai khud amariyan...
abid tha is tarha thi musalsal ye bediyan
ab paon thar-tharate hai zanjeer ke baghair
kehti hai khud amariyan...