Kanz e Aza

Khaak urhaawo

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram (2004). Lyrics in Roman Urdu.

Khaak urhaawo

(Haae Zainab) x3 Haae Madina


(Are logo, ab khaak urhaao) x3


Pardes se lut kar aaya, shabbir ka kunbaa saara


(Are logo, ab khaak urhaao) x2


Jo mera Hussein tha logo, jo yasrab ka tha ujala, pardes bulaa kar

usko, (aada ne maar hi daala) x2 khaime se mei chillayi, pyaasa hai mera

bhai


(Are logo, ab khaak urhaao) x2


Aabaad kabhi hota tha, ab hai wiraan madina, naa mei asghar ko laai, (na aayi saath sakina) x2 ik dashte bala ko dhaaya, ek ne hai shaam

basaaya


(Are logo, ab khaak urhaao) x2


Lo akber ki bhi sunlo, usne taqdeer rulaadi, shabbir ke haath pe

usne (karli hai mout se shaadi) x2 uski baatein howengi, sabki behne

rowengi


(Are logo, ab khaak urhaao) x2


Us waqt ghazab mei aayi, kehte hai aap karimi, jab khaak par khun

mei tarpi, (qaasim ki paak yatimi) x2 kuch shah khaimon mei laaye, kuch

ab tak dund na paae


(Are logo, ab khaak urhaao) x2


Us dasht mei kufi shaami, kehte the koun mohammed, shabbir pe sadqa

karke, (bheje hai aun mohammed) x2 na mei ab tak soyi hun, na bachon ko

royi hun


(Are logo, ab khaak urhaao) x2


Shoukat farhaan bataado, sab gham ke baab sunaado, zainab chillayi

mujhko, (bas maa ki qabr dikhaado) x2 kab shehr mei reh paaungi, mei

shaam chali jaaungi


(Are logo, ab khaak urhaao) x2