Kanz e Aza

Mei chal bhi nahi sakta

A noha for Imam Raza (a.s) (2004). Lyrics in Roman Urdu.

Mei chal bhi nahi sakta

(Haaye Sajjad, Haaye Bimaar) x3

Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta

(aankhon se lahu meri) x2 ik pal bhi nahi rukta

Ye khun jo behta hai, is pak ka matam hai, mujhe touk aur beri ke, gham se bhi sawa gham hai, (maa behne phuphi aayi) x2 baazaar mei be

parda

Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta

Bas mere kaleje pe, us waqt qazaa utri, naamu se mohammed ki, jis

waqt ridaa utri, (baazaar mei aaya hai) x2 zindaan ye mera laashaa

Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta

Tatheer ke parwardaa, ummat ne phiraaye hai, us bibi ko logon ne, darbaar dikhaaye hai, (jis bibi ka baba ne) x2 chehra bhi nahi dekha

Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta

Jab ehle sitam ham par, barsaane lage pathar, kya jaane kya guzri, us waqt mere dil par, (jab maa ne kahaa mujhse) x2 tum koun ho ai betaa

Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta

Lachaar behen meri, sehme huwe rehti thi, maasum sakina ye, har mour pe kehti thi, (kya dafn huwe honge) x2 karbal mei mere baba

Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta

Abbas ko mehshar tak, ye dard rulaaega, zainab ke khule sar ko, woh

dekh na paaega, (ghairat ke khuda ka sar) x2 neze pe nahi rukta

Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta

Akber ka hasin chehra, jo dekhte rehte hai, sab kufiyon shami bhi, roro ke ye kehte hai, (is husn ke paikar ki) x2 ab tak hai maa zindaa

Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta

Maa behne khule sar hai, raahon mei tamashaai, aulaade mohammed ko, taqdeer kahaan laayi, (paa bande silaasil hun) x2 kaanton se bhara rasta