tiflaan e muslim ibne aqeel
haye muslim ke dono pisar
shehre kufa mein hai dar badar
dono kufe ki galiyon se anjaan hai
inko koi thikaana bhi milta nahi
pyaase rehte hai pani bhi milta nahi
bhooke rehte hai khaana bhi milta nahi
rote rehte hai shaam o sahar
haye muslim ke dono pisar
shehre kufa mein hai...
chup ke karte hai din raat dono basar
darr ke maare ye ek pal bhi sote nahi
dhoondte hai sitamgar inhe har jagah
zor se darr ke maare ye rote nahi
zaalimon ka hai har waqt darr
haye muslim ke dono pisar
shehre kufa mein hai...
khairiyat koi baba ki milti nahi
dono bhai tadapte hai ye soch kar
roke kehte hai baba ko kya ho gaya
kyun na aaye wo lene hamari khabar
kaise baba ke bin jaaye ghar
haye muslim ke dono pisar
shehre kufa mein hai...
haath rakhne koi sar pe aata nahi
koi aakar ke himmat badhata nahi
thokarein kha rahe hai kayi roz se
koi yasrab ka rasta bataata nahi
dekhte hai idhar aur udhar
haye muslim ke dono pisar
shehre kufa mein hai...
kaise honge mere laal is fikr mein
us taraf hai pareshan dono ki maa
maamta ko kahin chain aata nahi
roke bacchon ki furqat mein khoti hai jaan
aur ye ro rahe hai idhar
haye muslim ke dono pisar
shehre kufa mein hai...
kamsini hai musafir hai pardes hai
waqt kaisa ye zahra ke pyaron pe hai
koi kufe mein deta nahi aasra
ye sitam murtaza ke dularon pe hai
be-watan hai ye jaaye kidhar
haye muslim ke dono pisar
shehre kufa mein hai...
leke haaris taraayi pe jis dam gaya
kaatne dono bacchon ka sookha gala
dono bhai bahot roye mil kar galay
aur dono ne mil kar ye nauha padha
amma ab hum na aayenge ghar
haye muslim ke dono pisar
shehre kufa mein hai...
haye waiz wo manzar qayamat ka tha
roye abbas e ghazi bhi be-saakhta
ho gaya us ghadi ek mehshar bapa
jab ali shaahe waala ne ro kar kaha
ab nahi aayenge laut kar
haye muslim ke dono pisar
shehre kufa mein hai...