jab chaand muharram ka nikalta hai falak par
roti hai bahot hazrate shabbir ki maadar
sarwar ke azadaron ko wo chaand dikha kar
roti hai bahot hazrat e shabbir ki maadar
aati hai azadaron ke ghar fatema zehra
deti hai dua shaam o sahar fatema zehra
har sheh kai azadar ki quwwat ko badha kar
roti hai bahot hazrate...
jab chaand muharram ka...
jab majlise shabbir mein aate hai azadar
pyason kai liye ashk bahate hai azadar
rumaal azadaron ki aankhon se laga kar
roti hai bahot hazrate...
jab chaand muharram ka...
mazloomon ka jab sog manaati hai kaneezein
aur chudiyan haathon se badhati hai kaneezein
kubra ki kaneezon ko kaleje se laga kar
roti hai bahot hazrate...
jab chaand muharram ka...
aati hai sakina bhi azakhane ke andar
ghazi ke masayab pe bilakti hai wo muztar
aaghosh mein masoom sakina ko uhta kar
roti hai bahot hazrate...
jab chaand muharram ka...
daadi se ye jab kehti hai masoom sakina
ye kaun hai karte hai mere baba pe girya
hai sheh ke azadar yateema se bata kar
roti hai bahot hazrate...
jab chaand muharram ka...
jaati hai nazar parchame abbas pe jis dam
shehzadi bahot roti hai sar peet ke us dam
phirta hai nigahon mein taraayi ka wo manzar
roti hai bahot hazrate...
jab chaand muharram ka...
kismat pe bahot naaz hai hum ghamkhwar hai bibi
hum sab tere bacchon kai azadar hai bibi
jab kehte hai waiz ye azadar tadap kar
roti hai bahot hazrate...
jab chaand muharram ka...